Wednesday, 11 January 2012

Shayari

Pyaar karte ho to dil ke tutne se na daro,
Roz milte ho to ek din bichadne se na daro,
Har faisla kahan apne hatho me hota hai,
Wo uparwala bhi kisi kisi par hi meherban hota hai..



Jisne dard diya
Use hi haale dil sunane chale
Jo labzon ko bhi na samaj paaye
Use hum aankhon ki jubaan samjhane chale..

Tuesday, 10 January 2012

Zindagi

Kabhi socha ke aisi hai zindagi
Kabhi socha ke waisi hai zindagi
Par aab tak na jaana
Ke kaisi hai ye zindagi


Kabhi lagata hai gam ka sagar hai zindagi
To kabhi lagata hai ke khushi ka mela hai zindagi
Kabhi apno ka saath hai to hai zindagi
To kabhi akelapan hai zindagi


Jo jeena sikhati hai wo hai zindagi
Jo marane se darati hai wo bhi hai zindagi
Jo appno se juda karati hai wo hai zindagi
Jo beganoko appana banati hai wo bhi hai zindagi


Par saach to ye hai ke
Har hal me jo jeena sikhati hai wo hai zindagi
Sabse pyaar karana sikhati hai wo hai zindagi
Sabko saath lekar chalana sikhati hai wo hai zindagi
Isliye jeene ka doosara naam hi hai zindagi